Header Ads

Wiladat Nabi Or Noshairwan badshah (Qist no, 22)

 Wiladat Nabi  Or  Noshairwan badshah

(Qist no, 22)

 ==========================

Sabaqah qist min Hazrat Abdullah bin abdalmutalab ki wafat or Aap ﷺ ki wiladat mubarkah ke waqat pesh aane wale chand ghair mamoli waqiat biyan kiye gaye. Is qist min esa hi ek ghair mamoli waqia jo shehnsha iran ke muhal min pesh aaya, biyan kiya jaye ga.

Hafiz Abubkar Muhammad bin jafar bin sahel alkhraiti apni kitab "Hwatif-ul-jan"  min mukhtalf hawalon se biyan karte hen keh aanhazrat sallallahu aliyhi wasalm ki wiladat mubarkah ke waqat iran ke mashahoor badsha "Noshairwan" ke Ewan min sakhat zalzalah aaya or is ke Ewan ke 14 kangre (gunbad) tot kar gir pare.

 Agar bat yahan tak hi mahadud rahti to ise ek haadisah samajh kar tawojah ke qaabl na samja jata magar is zalzalah ke sath chand or bohat hi ghair mamoli or chonka dine wali batin bhi zhoor pazeer huwin, jin min ek yeh thi keh shahi Aatish kdey min pichale hazar sal se roshon aag bhi bina kasi wajah ke thandi par gayi. Ek hazar sal min esa kabhi na hawa tha kah is muqdas aatish kdey ki aag bojhi ho.

 Dosari taraf baheerah sawah bhi heeran kun tur par josh kha kar Ublane wala ho gia. 

Noshairwan yeh tamam waqiat dekh kar chonk gaya. Is ny apane mushair "Mobazan" ko bola kar yeh sab waqiat  sunaiy or is ki raye talab ki.

Mobazan ny Noshairwan ko bataya keh kal raat is ny bhi ek ajeeb khwab dekha hey keh arb ki taraf se Ensanon ke ghol ke ghol unton par swar faris (Iran) ki taraf Umday aarhe hen or unhon ny Deryae Dajlah ko bhi abur kar liya hey. Noshairwan jo pehle hi in waqiat ki wajah se gehri soch min tha, yeh khwab sun kar pareshan ho gia. Is ny Mobazan se is khwab ki taaber pochhi. Mobazan ny jawab min kaha keh, chonkah yeh sare waqiat or phir yeh khwab mamoli nihen hen to behtar hey keh in ki thek-thek taaber janne ke liye kasi alim se raabtah kar lina chahiye.

Chunanchah Noshairwan ny Mobazan ke mashworah par ek khat likh kar yaman min apane naib-ul-saltnat  haakim "Noman bin munzar" ko bheja or ise hukam diya keh woh foran is ki khidmat min haazir ho or apane sath kasi ese shaqs ko laye jo barah alim ho or Noshairwan ke tamam swalon ke jawab de sake.

Iran (iran ke badsha ka lqab kisraa hota tha jaese rom ke hukmaran "qisar" or misr ke hukmaran "Firoun "kahalate thy) ka ya shahi farman milte hi Nomaman bin munzar foran Noshairwan ki khidmat min haazir hogia or kisraa ke hasab-ul-hokam ek bohat bare esi alim shakhs  "Abdulmseeh bin amaro bin hayan bin nafilah gasani" ko bhi sath le aaya.

Noshairwan ny Abdulmaseeh bin amaro ko tamam waqiat or Mobazan ka khwab sunaya or phir inki taaber pochhi.

Abdalmaseeh bin amaro ny jawab diya keh agar hazoor chahen to in waqiat or khwab ke bare min apana khayal zaaher kar sakta hon lican meri guzarish hey keh is ke bare min mere mamon "sateeh" se jo sham min qisar rom ki taraf se naib ulsaltnat hen, daryaft kiya jaye, cunkeh woh majh se kahin ziyadah Elm wale hen or kahant ke fun min bhi taaq hen or is bare min mujh se behtar bata skte hen.

Noshairwan ko Abdulmaseeh ki bat pasand ie, or is ny apane kuch aadami is ke sath karke ise is ke mamon sateeh ke pas sham bhej diya.

Abdalmasih bin amaro sham ke daralhakomat dimashq apane mamon sateeh ke darbar min pohcha jahan woh apni zarin masand par barhi tamkkant se betha tha. Abdalmaseeh ny ise sare waqiat or khwab sunaa kar kaha keh woh shehnsha fars Noshairwan ki taraf se aaya hey or Noshairwan ki khwahish par in ki taaber janna chahta hey. Abdalmaseeh ki batin sun kar sateeh chupp ho gaya or kisi nihyt gehri soch min dob gaya.

Abdalmaseeh ny jab koi jawab na paya to yeh samajh kar keh sateeh ny is ki bat ko koi ahamiyat nihen di hey shkayatan chand ashaar parhe jin min sateeh ke adam Eltafat ka geelah kiya.

Sateeh ashaar sun kar apane istagharaq se bahir aaya or kaha:

"Jo waqiat tum ny biyan kiye hen agar woh sahi hen or jo khwab mobazan ny dekha he woh is ny sahi tur par biyan kiya hay to samajh lo keh ek din na sirf kisraa Iran ke hath se salnat chhin jay gi balkah yeh sham jis par min aaj kal qisar room ki taraf se haakim bana betha hon ya bhi inahi arb naaqah (unt) swaron ke qabzey min chala jay ga, Jinhen mobazan ny khwab min dryay dajalah abur karte dekha hay".

Jab Abdulmaseeh ny apane mamon sateeh ka jawab Noshairwan ko faris waps aakar sunaya to Noshairwan ny kaha keh abhi to meri olad min kai, meri pushton tak hakmarani chale gi is ke bad jo hoga dekha jay ga.

Baharkif taarekh batati hey keh kuch arsah bad sateeh ki peshgoi haraf bah haraf such saabat hoi or aanhazrat ﷺ ki hayat muqdasah ke aakhari aayam se faris w room ke khilaf jo foj kashi sharo hoi woh bil aakhar tisre khalifah raashid Amerulmomanin hazrat Usman ghani razi Allahu taaala Anho ky ahed min paya takameel ko pohnchi, or na sirf iran ki teen hazar ek so chonsth sal se jari shehnshaiat ko majahidin Islam ny apane ghoron ki sumon tale rond diya balkah sarzamin shaam par bhi islami Alam lehra diya gaya. ==================================Hawlah jaat....👇

Seertunnabi. Molana Shibli Nomani.

Seert ulmustafa. Molana Muhammad Edaris kandahlvi. 

Araheequlmukhtom urdu. Molana safi-u-rahman Mubarkapori.

No comments

The Destructive Storm of "Fake News".

  The Destructive Storm of "Fake News".. A person in Pakistan, sitting comfortably, spread fake news through social media about th...

Powered by Blogger.