Rasool- ul-lah ka nasab naamah Seeratunnabi. Qist nambr 14
Rasool- ul-lah ka nasab naamah Seeratunnabi (Qist nambr 14) ==========================
Shuro ki aqsat min Quresh Makah ki taarekh biyan ki gayi jis min Aap ﷺ ke aaba w ajidad ka mukhtasr zikar bhi aaya. Ab un ka dubarah tafseeli zikar kiya jaraha hay. Aap sallallahu aliyhi wasalm ka silsalah nasab Bohat si Taarekhi Shahadaton or Hwalon ke Mutabiq chalis pusht bad Hazrat Ismail aliyhi salam se ja milta hay taa hum Aap sallallahu aliya wasalm ke tamam tar buzurgon ke naamon ke muta'alq mustand malomat na hone ki wajah se aap ka silsalah nasab Hazrat "Adnan" tak ja kar rok diya jata hey.
Hazrat Adnan Hazrat Ismail aliyhissalam se koi bees pusht baad peda huwy. Inehi ke naam par bano Ismail ko bano Adnan bhi kaha jata hey. Hazrat Adanan tak Aap ka silsalah nasab kach yon hey.
Hazrat Muhammad (Sallallahu Aliyhi wasalm) bin Abdullah bin Abdalmutalab (sheebah) bin hashim (Amar) bin Abd manaf (mughairah) bin Qusi (zaid) bin Kilab bin Murrah bin Kaab bin Loai bin Ghalib bin fehar bin Malik bin Nazar (Qais) bin Kanana bin Khuzimah bin Mudarkah (Amir) bin Ilyaas bin Mozar bin Nazar bin Ma'ad bin Adnan.
Iban-e-Hisham 1/1, 2
Taarekh Altabri 2 / 239-271
Adnan se oper ke selsalah nasab ki sehat par Ahil-e-seyar or maaherin Ansab ka Ekhtalaf hey. Kisi ny tawaquf kiya hey or koi qaail hey. Yeh Adanan se oper Ibrahim aliyhi ssalam tak muntahi hota hey.
Adnan bin Oudd bin Humyasa bin Salaa'man bin Ous bin Youz bin Qamwal bin Ubayi bin Awam bin Naashad bin Hzaa bin Baldas bin Yadilaf bin Tabakh bin Jahm bin Naa'hish bin Makhi bin Aeez bin Abqar bin Ubid bin Dua'a bin Hammadan bin Sonbar bin Yasrabi bin Yahzun bin Yalhun bin Arau'waa bin Aeez bin zeshan ban Aicer bin Afnad bin Ayhaam bin Moqser bin Naahis bin Zaa'reh bin Sami bin Mizi bin Auzah bin Aaram bin qeedar bin Ismail Aliyhissalam bin Ibrahim Aliyhi ssalam.
Tabaqat ibn-e-saad 1 / 56,57. Tarekh Tabri 2/272.
Hazrat Ibrahim aliyhi ssalam se Oper ke Selsalah nasab min yaqeenan kuch ghaltiyan hen. Yeh Hazrat Ibrahim Aliyhi ssalam se oper Hazrat Aadam Aliyhissalam tak jata hey.
Hazrat Ibrahim aliyhi ssalam bin taa'reh (Aazar) bin Naakhur bin Saaru' (yaa.... Sarog) bin Ra'aou bin Falkh bin Aabir bin Shalukh bin Arfakhshad bin Saam bin Nooh Aliyhissalam bin Laamk bin Matoshulkh bin Akhanokh (kaha jata hey keh yeh Idarees Aliyhi ssalam ka naam hey) bin Yarod bin Mahlail bin Qeenan bin Aanoshah bin Shees Aliyhissalam bin Aadam Aliyhi ssalam.
Iban-n-Hisham 1 / 2-4.
Taarekh Tabri 2/276
Ba'az naamon ke motaliq in ma'a khaz min Ikhtalaf bhi hey, or ba'az naam ba'az maa'khaz se saaqit bhi hen...... ============
Hawlah jaat......👇
Seert-un-nabi. Molana Shibli nomani. Seeratulmastafa. Molana muhammad adaris kandahlvi.
Alraheeq almukhtom urdu...... Molana safi alrahman mubarkapori.
Post a Comment