Header Ads

Rasool-ul-Allah ki barkat or Halimah sadiya ka gharana Qist no. 26, 27

Rasool-ul-Allah ki barkat or Halimah sadiya ka gharana

 (Qist no. 26, 27)

==========================        Pichali qist min ham ny Hazrat Halimah sadiya razi Allah anaha ke makah aane or "nannhe Hazoor" ko apane sath dudh plane ki khaatir gaon le jane ke waqaat biyan kiye. Ab aage ke haalat ka zikar kiya jay ga.

Halimah sadiya ke ghar min kull 6 afrad raha karte thy. Shohar Haaris, Sheer khwar Abdallah, Betyan Anisah, Huzaafah yaa Juzamah (razi Allah anahum). (In hi ka lqab Shima tha) Abdallah (razi Allah anhu) ki qismat keh inhen aap Sallallahu alihi wasalm ke dudh sharik bhai ka sharf haasil huwa.

Jab aap  zara barhy huvay or paon-paon chalny lage to Shima (razi Allah anaha) hi ziyadah tar aap  ke sath khela kteen. Is khel kood ky duran ek martabah shima (razi Allah anaha) ny Aap ko bohat tang kiya to gussa min aap ﷺ ny un ke kandhe par is zor se kata keh danton ke nishan beth gay. Yeh nashan in ke liye is waqat baas rahmat ban gaye jab keh ghazwah hunin ke baad shima muslmanon ke hathon girftar huve to unhon ny kaha keh min tumhary rasool (sallallahu aliyhi wasalm) ki razai behan hon.

Jab muslmanon neyhen Hazoor sallallahu alyhi waslam ke samane pesh kiya to unhon ny bachpen ka waqia yaad dalate huvay apane kandhe par danton ke nashan dikhaye jis par hazur ﷺ ko sara waqia yaad aagaya or aap ﷺ ny inhen barhe ihtaram se apani chadar bacha kar bathaya or farmaya: 

"Keh agar mere paas rehna chaho to behan ki tarah reh sakti ho".

Lican unhon ny arz kiya keh woh apane watan lot jana chahti hen. Hazur ﷺ ny inhen jo atyaat daye in min teen ghulam, bandiyan, kuch unt or bakaryan shamil then.

In charon min se janab Abdallah razi Allah anhu or shima razi Allah anaha ka islam laana to saabit hey lican baqi do ka haal malom nihen. Jabkeh janab Haaris razi Allah anhu aap ﷺ ki be'sat ke bad makah aye to tab islam qabol karliya tha.

Hazrat Halimah sadiya razi Allah anaha ke sath jo ghair mamoli waqiat makah se wapsi par shuro huway woh un ke ghar pohchane par bhi jari rahy. Mariyal or borhi untni ke thanon min dudh bhar aaya. Haalankeh is se qabl bari mushkil se guzare ke liye dudh aata tha.

Hazrat Halimah razi Allah anaha kaha karti then keh Allah taaala Aap  ky sabab khair w barkat se hamare gharane ko nawazta raha. Khud hazrat Halimah sadiya razi Allah anaha ka dudh kam utrta tha or khud Abdallah ke laye bhi mushkil se pora parhta tha, lican yeh aanhazrat ﷺ ke wajud mubarkah ki barktin hi then keh aap kay aate hi hazrat halimah sadiya razi Allah anaha ki chhation min itna dudh utr aaya keh jis ka unhon ny is se pehle socha bhi na tha.

Lican is zamane min bhi "nanhehazoor" ki munsaf mazaji or Adal pasandi ka yeh alim tha keh aap ny kabhi Aesa na kiya keh ek pistan ka dudh pi kar dosare se bhi pee lin balkeh dosary pistan ka dudh apane dudh sharik bhai abdallah razi Allah anhu ke leye chhor dity.

Aap  ky dam se zahoor pazeer barktin sirf hazrat halimah sadiya razi Allah anaha tak mehadud na then balkah is ka dairah un ke ghar se wasi ho kar arhos parhos ke gharon tak bhi pohchane laga. Qehat or khushak sali ki badolt bano saad ke gharane ki tamam zaminin banjar ho gayi then or janwron ke than dudh se maharom ho gaye thy lican Allah ke hone wale nabi ﷺ ke qadam ki barkat se tamam zaminin shadab ho gayin or bakariyon ke thanon min dudh bhar aaya. Basti waly charwahon se kaha karte keh tum bhi apani bakaryan wahan le jao jahan halimah sadiya (razi Allah anaha) ke janwor charte hen.

Ek martabah hazrat halimah razi Allah anaha aap ﷺ ko Ukaz ke melah min le gayin. Wahan ek kahin ki nazar aap par parhi to pukar-pukar kar kahane laga keh:

Aye Ukaz walo! Is bachy ko jan se mar dalo, warna yeh barah ho kar tum sab ko mita de ga.

Hazrat halimah razi Allah anaha yeh sunty hi aap ﷺ ko le kar foran wahan se chali gayin. 

(Qist no. 27)

Hazrat halimah razi Allah anaha ka azeem muqam hey. Woh aanhazur ﷺ ki razai walidah hen. Aap ﷺ ko hazrat halimah sadiya razi Allah anaha se behad muhabbat thi.

Moarkhin ny biyan kiya hey keh bohat arsah bad ahd nabuwat min ek borhi aurat aap ﷺ ki khidmat aqdas min haazir huve. Gurbat w aflas se un ka haal dagrgon tha. Aap ﷺ ny foran pehchan liya or wafor shauq w muhabbat se apani nashist se uthy  or "meri man-meri man" keh kar un se lapat gaye. Phir aap ﷺ ny chadar becha kar Ezzat w takarim se un ko is par bathaya. Yeh Halimah sadiya razi Allah anaha then.

Syedah Halimah Sadiya razi Allah anaha ke bare min yeh rawayat bhi taarekh min manqol hey keh woh aanhazoor sallallahu aliyhi wasalm ke dur jawani min syedah khadijah razi Allah anaha ki mojudgi min makah haazir hoi then. Hazrat khadijah razi Allah anaha ny in ki khidmat min kai unt or untuniyan pesh ki then. Madina manwrah min haazri ke waqat nabi pak ﷺ ny bakariyon ka ek riywarh or sazo saman se ladi ek naaqah in ki khidmat min pesh ki.

Woh in tahaif se ziyadah is bat par shadan w farahan then keh un ke razai bety ko Allah ny is se bhi buland maqam ata farmaya tha jis ki duain or tamanain woh karti then.

Is ke alawah aap ko apani razai behan syidah shima razi Allah anaha se bohat unsiyat thi. Aap ki sheerkhwargi ky zamana min wahi aap ke sath khela karti then. Syidah Halimah Sadiya razi Allah anaha ny 2 Saal tak Aap ko barhi muhabbat se dudh playa or aap ki parwerish ki. Aap ﷺ ki nasho w numa dosare bachon se bahat achi thi is liye jasmani etibar se do sal ki umar min bhi aap ﷺ char bars ke dikhai dite thy.

Do saal ki umar tak halimah sadiya aap ﷺ ko saal min do bar walidah majidah hazrat Aamina se melane ley jatin or phir wapis ley atin. Do saal bad jab aap ﷺ ko wapis makah le jane ka waqat aaya to yeh Amar hazrat halimah razi Allah anaha ke liye bohat takleef ka baays ban gaya. Cunkeh Aap se un ko be antaha muhabbat thi jis ki wajah se Aap  ki judai bardasht karna in ke leye koi aasan kam na tha. Hazrat Halimah razi Allah anaha farmati hen:

 "Jab do saal guzar jane par min aap ko lecr hazrat aamina ke pas makah pohchi to aap ki judai ke gham min mery aankhon se be tahashah aanso bahah rahe thy".

Yeh dekh kar hazrat Aamina bolin:

Kiya tum ise apane pas kuch or rakhana chahti ho?

Un ki zuban se yeh sun kar min khushi se behaal hokar boli:

Agar aap chand mahine ise mere pas or rahne din to aap ki barhi maeharbani hogi.

Meri is darkhwast par hazrat Aamina ny bakhushi mujhe is ki ajazt dy di.

Hazrat Aamina ke is fisale ki ek barhi or ghalban asil wajah yeh thi keh in dinon min makah min waba pheli hoi thi. Hazrat Aamina ny aap ﷺ ko makah min tehrana munasab na samja or wapis hazrat halimah ke sath gaon bhejwa diya.

Taahum chand maah ka yeh feslah  kai salon par muheet hogia or aap Halimah ke paas mazeed char saal rahy, or 6 saal ki Omar min hi wapis makah apani walidah majidah ke pas aasky. 6 saal ka yeh arsah hazrat halimah or in ke ghar ke leye bepanah khairobakat ka sabab bana raha or in ka ghar sary qabele ke liye rashak ka baas ban gyia.

Hazrat Halimah razi Allah anaha ny jis muhabbat or apanaiyat se Muhammad Arabi ko pala posa woh yaad gaar or taarekhi haqeeqat hey.

Yeh bhi ek muslmah amer hey keh nabi rahmat ﷺ ke wajud masud se is khandan ki qismat hi badil gayi.

Hazoor ﷺ ke qayam bani saad ke duran pore alaqe or qabele min is sadat mand bache ka tazkarah zaban zad aam ho giya cunkah barkat w anaamat ki barsh ny sabhi ko nihal kar diya tha. Aap ky apane khandan min wapis chale jane ke baad bhi qabele or bilkhsus Halimah sadiya razi Allah anaha ke ghar min aap ka tazkarah hota rahta tha.

==========================

Hwalah jaat....👇👇👇

Seert unabi. Molana Shibli Nomani.              

Seert-ul-Mustafa. Molana Muhammad Idaris kandahlvi. 

Alraheeq-ul-makhtom (urdu) Molana safi urahman Mubarkapori.

Taarekh Iban kaseer (Albadaya walnahaya)

No comments

The Destructive Storm of "Fake News".

  The Destructive Storm of "Fake News".. A person in Pakistan, sitting comfortably, spread fake news through social media about th...

Powered by Blogger.