Yahodiyat, Isaiyat, Bott parsti, Aatush prasti or Toheed
Qaball Az Wiladet, Makkah min Mzahib,
Yahodiyat, Isaiyat, Bott parsti, Aatush prasti or Toheed
Seert-un-nabiﷺ(Qist nambr: 9) ==========================
Pechali qist min masharkin hajaz w arb ke aqaid or bout paristi ki taarekh biyan ki gayi. Is qist min ham aap ﷺ ki waladat mubarkah ke waqat sarzamin arb min mojud dosare mazahib or adiyan ka ek mukhtasr jaizah pesh karin ge.
Yahudiyat:
Arb min bott paristi ke bad dosara aham tarin mazhab yahudiyat tha. Ya log do wajah se is sarzamin min aabad howy.
Aek to is laye kah hazrat Esaa aliyhi ssalam ki pedaish se panch so sal pehle jab babl ke badsha "Bakht nasar" ny filsateen ko taaraj kiya or tabah w barbad kiya to yahudiyon ke bohat se qabile jaan bacha kar duniya ke kai dosare hason ki taraf bhage. Enahi min se chand qabile arb ki taraf aa nikale or khud ko yahan mahfooz jan kar aabad hogaye.
Dosari bahat aham wajah yeh thi keh yahudiyon ko torat w zabur ki pesh goion ki wajah se Eilm tha kah Allah Anqrib apana aakhari paygamber sarzamin arb min mubaus farmane wala hay. Yeh is nabi ko apana najat dahndah jante thy, is laye ya log aakhari nabi ke intezar min yahan aa kar aabad hogaye.
Chonkah hazrat Ibrahim aliyhi ssalam se le kr aap ﷺ tak jtane bhi nabi aay, sab bani Isaril min se hi mubaus huwy thy. Too is bena par un ka khayal tha keh aakhari nabi bhi bani Esrail se hi hoga.
Magar jab aap ﷺ ko nabowat mali to is bat ke bawajud kah torat w zabur or dosare Elahami Sahaif min aakhari nabi ki jo nashaniyan batai gayi then sab ki sab aap ﷺ min khole am nazar aa gayin.
Magar arb ke yahud ny mahaz is hasad or ta'asub par keh Aap bani isaril ke bajay bani ismail min se thy, Aap ﷺ ko nabi manne sy inkar kardiya.
Sab se pehle yeh log yasarb (madina) or khaibar ke alaqah min aabad huwy. In ke asar se kach maqami afrad ny bhi yahudiyat akhtyar karli. Phar 354 qabl masih min yasarb (jo bad min madeenatunnabi bana) se do yahudi yaman pohche.
In ke asar se yaman ke hamyari badsha "Yousaf zunwas" ny jab yahudi mazhab qabol karliya to yaman min yahudiyat ko bahat farog mila. Yeh log apane Elam or dolt ki wajah se khud ko arbon se bahat bartar khayal karte the or arbon ko apne maqable min "Ummi" yauni jahil samjte thy....
Nasli bartari ka shikar ye mutasab qaum khud ko khuda ka chahita or bargazidah tasawur karti thi. In ka khayal tha kah jahanum ki aag un ko chand din se ziyadah nihen Chuwy gi.
Haalankah yeh log apane tamam tar Owsaf kho chuke thy. Sood khori In ka shaar ban chaki thi. Hasab zarort torat or mazhabi ahakam min tahrif karna in ke han aam tha. Mazhab goya in ke ghar ki londi jisa tha, jis ke sath woh jo chahen karin. Chonkah khud ko tamam aqwam se bartar jante thy to in se har qism ka dajal w farib or zulm jaiz tha.
Taa ham apani pori duniya parsti ke bawajud madina or Ird gird ke alaqe min un ko alahiyat or khudai alom min ajarah dari haasil thi. In ke asar o rasookh ka andazah is bat se lagaya ja sakta hay keh madina ke qabile Ows w Khazraj min kasi ki olad na hoti to wah mant manta keh beta hone ki surt min isy yahudi bana den ge.
Esaeyat:
Arbon min tisra aham mazhab Esayat tha. Hazrat Esaa aliyhi ssalam se kam w besh 250 sal bad rom ki esai hakomat ke ziry asar sham ki taraf ke arb qabile ny esayet qabol karli. Dosari taraf heerah ke arb badsha "Noaman bin munzar" ny deen eswi qabol kiya to wahan ke bahat se log esai hogaye, jabakah yaman min jab esai mublghain ki tabligh par kach log esai howy to yahudi badsha "Yousaf zunwas" ny Un par be panah zulm w stam kiya or phar qatal karadiya.
Room ki Esai hakomat tak jab ya khabar pohchi to qisar rom bahat gazabanak hawa. Is ny shah habashah ko jo romi halqah asar min ek esai hokmaran tha, hukam diya kah Yousaf zunwas se is zulm w stam ka badilah liya jay.
Chananchah wahan se ek habashi nazad lshkar aaya or Yousaf zunwas ko shkist de kr yaman par bhi esai hakomat qaaim kardi. "Abrahah bin asharm" isi lshkar ka ek fogi sardar tha jo btadarage tarqi karke bil akhar yaman ka neem khudmoqtar badsha ban betha. Yeh ctor esai tha or is ny yaman min esaaiyat ke farog ke laye be panah kam kiya.
Yaad rahe kah ya wahi abrahah hay jis ny "sanaa" min kaabah ke moqable par ek azeem alshan kalisa (garja) taamer karaya or phar khana kaabah ko garane ke aradah se makah par hamlah aawar hawa tha. (Is waqia ki tafseel pehle guzar chaki hay.)
Is zamane ke esai hazrat Esaa' aliyhi ssalam ki taalimat ke bajay "Senat pal" ke mazhab ke pero ho chuke thy. Senat pal pehle yahudi tha. Is ny da'awa kiya keh ise hazrat Esaa aliyhi ssalam ny khwab min hukam diya hay kah mera deen phelao. Yoon wah Esai hawa or phar is ny btadarage esayet ko ek alahami mazhab se sihark w gumrahi se lothra hawa mazhab bana diya. Is ny esayat min aqeedah "Taslis" yani teen khudaon ka aqeedah shamil kiya.
Hazrat Esaa aliyhi ssalam ko Allah ka beta tehraya. Is ny esaion ko is faryb min mubtala kardiya kah hazrat Esaa aliyhi alsalam soli charh kar sab esaion ke ganahon ka kafarah ada kargaye hen or ab inhen ganah ki kholi chhati hay. Saent pal ke zir asar esai siraf padari ke samane etiraf jarm w ganah ko hi kafi samjte. Taa ham yahud ke maqable min in ki akhalaqi haalt qadare behtar thi or qabol haq ki salahiyat se bhi ya log baharah war thy.
Is bat ka andazah aaj bhi kiya jaskta hay kah aaj bhi Islam ki haqaniyat jan kar muslman hone walon min yahudiyon ke maqable min esaion ki taadad bahat ziyadah hay.
Aatush prasti:
Iran w Araq ki sarhad ke pas abaad arb qabile Iraniyon ke mazhab Aatush parasti se bohat matasar howy. Ahil Iran ki tarah yeh bhi naki or badi ke do alg-alg khudaon ke qaail thy, or ahil Iran ki tarah aag ko khuda ka zhor mante or is ki poja karte thy.
Sabe'i:
Arb jahiliyat ! Ese log bhi thy jin min starah paristi ka charcha tha or yeh staron ki poja karte thy. Ghalban un ka mazhab wadi dajalah w farat ki qadim tehzeebon ki baqiyat min se tha. In ka dawaa tha keh un ka mazhab alahami mazhab hay or woh hazrat Shees aliyhi ssalam or hazrat Idaris aliyhi ssalam ke perokar hen.
In ke han sat waqat ki namaz or ek qamari mahina ke roze bhi thy. In ko mushark arb moashrah "sabi" yani be din kahah kar pukarta tha. Yaman ka mashahur qabelah "Hemyer" sorj ki poja karta tha.
Qabelah Asad siyarah atard ki or qabelah Laham w Juzaam siyarah mashtari ko diyota man kar pojate thy. Baz log qutbi starah ke pajari thy or qatb shmali ki taraf monh karke Ibadat karte thy. Yeh log khana kaabah ki bhi bohat takarim karte thy.
Dhariyat:
In tamam mazahib ke sath-sath arb min ese log bhi pay jate thy jo siry se mazhab or khuda par yaqeen hi na ruktey thy. Yeh' na bott parist thy or na kasi Elahami mazhab ke qaail thy. In ke nazdek khuda, hashar w nashar, jant dozakh or jaza saza ka koi wajood na tha. Yeh duniya ko azli w abdi qarar dite thy.
Maslk tuheed ke alm bardar:
Arb moashrah min kach Aesy log bhi mojud thy jo apani fitrat salim or qalabi baseert ki ba dolt tuheed khals tak pohchane min kamiyab hogaye thy. Yeh log ek khuda ke qaail the or shirk w bott paristi se nafrt karte thy. In min hazrat Khadijah razi Allaho anaha ke chchazad bhai Warqah bin naufl, hazrat Umar faroq razi Allho anho ke sage chcha Zaid bin Umar bin Nufil or Ubidallah bin Jahsh mashahur hen.
Deen haq ki talash min sargardan in logon min se warqah bin naufl balaakhar esai hogaye. Yeh wahi warqah bin naufl hen janhon ny aap sallallaho aliyhi wasalm par pehli wahi naazl hone par aap ki nabuwat ki tasadiq ki thi. Ubidallah bin jahsh Islam ke bad muslman hogaye, lican habashah hajrat ki to wahan bad qismati se murtad hokar esai hogaye, jabakah un min Zaid bin Umar bin Nufil ko bohat uncha maqam haasil hay.
Halan keh in ko Islam naseeb nihen hawa cunkah woh pehle hi wafat pagaye thy, lican in ki fazilt ka andazah is hadis mubarkah ke mufhom se lagaya jaskta hay kah jab qayamat ke din har Ummat apane nabi ki qayadat min uthai jaigi to Zaid bin Umar bin nufil akile ek ummat ke tur par Uthay jayen gy.
Zaid bin Umar bin nufil ny bottt paristi, murdar khuri, khun rizi or degar tamam moashrati khabasaton ko apane oper haram kar liya tha or jab In se un ke mazhab ke matalq pochha jata to aap jawab dite keh "Aabudo rabba Ibrahim" min Ibrahim ke rab ki parstash karta hon.
Aap bott paristi se sakht bezar thy or khana kaabah min beth kar Quresh ko kahate kah mere siwa Tum min ek bhi shakhs deen Ibrahimi par nihen hay.
Aap qoum ko bott paristi se mana karte rahte thy. Goh arb min har qism ke din mojud thy magar in ki asili surt atni maskh ho chaki thi keh kufr w shairk or deen min Ematyaz karna mushakl hochka tha.
Tuheed jo har Elahami mazhab ka khaasah tha is ka kasi mazhab men kahin naam w nashan tak na tha, or kofr w shirk w towaham paristi ka andhera sirf arb hi nihen, tamam malom duniya par chhaya hawa tha. Algarz tamam duniya hi zalalt w gumrahi ki daldal min gharq hochaki thi.
Tab Khuday buzurg w bartar ko ahil zamin ki is pisti w zabon haali par rahm aaya or is ny in min apana Azeem tar peghambar mubaus farmaya.
============
(Baqi indah in shaallah)
Hwala jatt====👇
Seeratunnabi. Molana shabli naamani
Seertulmustafa. Molana muhammad Idaris kandahlvi
Arraheeq ulmukhtom urdu.
Molana safiurrahman mubarkapori
Post a Comment