Header Ads

Seerat-un-alnabi. Hashmi Khndaan or Abd-ul-Mutalab Part. 3

 Seerat-un-alnabi.

Hashmi Khndaan or Abd-ul-Mutalab

(Part: 3)

===============================

 Hazrat  Hashim  ny  Qisar rom ke sath tajarti ow safarti taalqaat qaaim karlaye thy. Chunanchah  Esi Silsaly  min Sham ki taraf safar ke duran un ki shadi Bano Najar ki ek  muazaz khaton salmah  se hoi magar badaqismati se esi safar ke duran hazrat hashim ka Entaqal  hogia. Un ki wafat ke bad un ka ek beta pedaa howa jis ka naam "Shaebah" rakha gaya, magar chonkeh Shaebah ko un ke chcha Mutalab bin abd Manaf  ny  pala posa  To  Shaebah ko Abdulmutalab (Mutalab ka ghulam) kaha jane laga, or phir unhen Taarekh ny  hameshah Esi naam se yaad rakha.

Hazrat Abdulmutalab be had haseen o jameel, wajih or shandar shakhsiyat ke malk thy. Allah  ny  Unhen behad  Ezzat se nawaza or woh Quresh makah ke aham tareen sardar bane. Aek mudat tak in ki olad min ek hi beta tha jin ka naam Haaris thaa. 

Hazrat Abdulmutalab ko bahat  khwahish thi kah woh kaseer olad wale hon. Chunanchah onhon ne mant mani kah agar Allah un ko Dass betay Ataa kare ga or woh sab naujawani ki umar tak pohch gaye to woh apana ek beta Allah ki raah min Qorban kardin ge. Allah  ny  un ki dua or mant ko sharf qaboliyat bakhsha, or un ke dass yaa barah betay peda huvay,  jin min se ek janab Hazrat Abdullah thaa. 

Aap Hazrat  Abdulmutalab ke sab se chhotay betay thy, or na sirf apane walid ke balkah pory Khandan ke bahat chaheety thy. Hazrat Abdalmutalab ko un se bohat muhabbat thi. Das beton ki pedaish ke bad jab tamam ke tamam naujawani ki omar ko pohnche to Hazrat Abdalmutalab ko apani mant yaad Ai. Chunanchah woh apane sab beton ko lekr Harm kaabah min pohnch gaye.

Jab arbon ke makhsoos tariqe se qura andazi ki gayi to qura Hazrat Abdallah ke naam nikala. Hazrat Abdalmutalab yeh dekh kar bohat pareshan huvy. Chunkah shiddat muhabbat ki wajah se in ka dill na chahta tha keh Hazrat Abdullah ko Qurban karin, magar chonkah woh mannt maan chuky thy to is ki khalaf warzi bhi nihen karna chahte thy. Chananchah Hazrat Abdallah ko le kr Qurban gah ki taraf barhy. Yeh  dekh kar khandan Bano Hashim ke afrad,  jin ko hazrat abdallah se bohat lagao thaa, Bohat pareshan Howy. Woh Hazrat Abdalmutalab ke pas Aay  or Onhen is selsale min Yasarb (madina) ki ek Kahina Aurat se Mashwrah karny ko kaha. 

Chananchah jab is kahina Aurt se raabtah kiya gaya to us ny is ka hall yeh nakala keh Hazrat Abdallah ki jagah khun baha ada kiya  jay. Arbon ke  haan diyat (khun baha) min dass   Ount deye jate hen, to Hazrat Abdallah ke sath dass-dass Ounton ki Qura andazi ki  jay, or yeh Qura andazi tab tak jari rakhi    Jaye  jab tak Qurbani ka Qura Ounton ke naam nihen niklta.

Cuhananchah Asy hi kiya gaya or bil aakhar dasween bar Qura Hazrat Abdallah ke  Bajay Ounton par niklaa.  Is tarah un ki jagah SOO  Ounton ko Qurban kiya gaya.

Hazrat Abdallah ki shadi bano Zohrah ke sardar Wahab bin Abdmanaf ki beti janabah Hazrat Aamina se hoi,  jin ke batn se Taajidar Dojahan Hazrat Muhammad salal Allah-o-aliyhi  wasalm ki wiladat mubarkah hoi.

Is se pehle kah hum baqaidah aaghaz karin, zarori hay keh qaar'in ko Aap Sallallaho Alyhi wsalam ki wiladat mubarkah ke waqat Quresh makah ke Mazhabi, Seyasi, Moasharti, Moaashi or Tamddani haalat se rosh naas karaya  jay.

Neez Aap ﷺ ki pedaish mubarkah se sirf pachas din pehle zhoor pazeer hone wale waqea "Aam-ul-feel" se bhi Aagah kiya jay, jab Habashi nazad "Abraha"  Khana kaabah ko girany ke Erade se makah par hamlah aawar hawa.

(Baqi indah Enshaallah) 

Sert alnabi

 Molana Shabli nomani

Sert Almustafaa. 

Molana muhammad Adaris kandahlvi.

 Alraheeq almukhtom urdo.

Molana safi alrahman mubarkapori.

No comments

The Destructive Storm of "Fake News".

  The Destructive Storm of "Fake News".. A person in Pakistan, sitting comfortably, spread fake news through social media about th...

Powered by Blogger.